Ek phal ki kahani
- Ankush Walia
- Sep 28
- 1 min read
Updated: Oct 2
Aam, tarbuj, santra insab phalon ke baare me toh zarrur sunna hoga kuch dete hai shakti, toh kuch dete hai buddhi
Lekin ek phal aise bhi jisse naap-tol ke nhi lia jaa skta
Man me hamesha rehta hai iska kuch ansh
Lekin jab jyada karle isko sevan, deta hai yeh dans.
Kaunsa hotha hai yeh phal jo insaan ki marzi nhi uski kismat deti hai.
Jaise namak dalta hai swaad anusaar, vaise yeh phal bhi rehta hai haaloton anusaar.
Kabhi rok deta hai, kabhi kar deta hai yeh hame aazaad
Lekin sawal phir bhi vahi, kya hai iss phal ka raaz
Kuch log kahenge hotha hai yeh bahut zaruri, lekin sunna n tum kabhi unki
Yeh hai vahi kahani, jo insaan ne khud hi ko sunnai
Tabhi toh vo phal jisse kehthe hai hum dar jeeth na jaaye zindagi se kahin koi bhi jang.


Comments